Coffeehouse for desis
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Aahista chal zindagi

Go down

Aahista chal zindagi Empty Aahista chal zindagi

Post by Guest Thu Dec 11, 2014 10:41 am

Aahista chal zindagi, abhi kayi karz chukana baaki hai,
kuch dard mitana baaki hai, kuch farz nibhana baaki hai.

raftaar mein tere chalne se kuch rooth gaye, kuch chhoot gaye,
roothon ko manana baaki hai, roton ko hasaana baaki hai.

kuch hasratein abhi adhoori hai, kuch kaam bhi aur zaroori hai,
khwaishein jo ghut gayi is dil mein, unko dafnana abhi baaki hai.

kuch rishte banke toot gaye, kuch judte judte chhoot gaye,
unn toote-chhoote rishton ke zakhmon ko mitana baaki hai.

tu aage chal main aata hoon, kya chhod ke tujhe jee paunga?
inn saanso par haq hai jinka, unko samjhana baaki hai.

Aahista chal zindagi, abhi kayi karz chukana baaki hai...

- Unknown
http://shayari.dontjustask.com/2014/07/aahista-chal-zindagi.html

Guest
Guest


Back to top Go down

Back to top

- Similar topics

 
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum